chhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai

chhut gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai
maut kyun kahiye use bimar ko nind aa gai

dar-haqiqat aap the ya aap ka aks-e-jamil
waqai meri nazar kya aaj dhoka kha gai

main ne chaha tha ki phulon se basa lun pairahan
bu-e-gul bhi mere daman se magar katra gai

hum ko tark-e-arzu ka aaj ye hasil mila
aarzu ka nam le kar aarzu sharma gai

baj utha saz-e-tarab aur jal uthe dil ke charagh
ittifaqan bhi agar un se nazar takra gai

ban gai wajh-e-farogh-e-anjuman sham-e-hayat
zindagi thi aap ki aur aap ke kaam aa gai

us nigah-e-multafit ka mujh se phirna tha 'jalil'
aarzuon ke gulistan mein khizan si chha gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close