bacha gar naz se to usko phir andaz se mara

bacha gar naz se to us ko phir andaz se mara
koi andaz se mara to koi naz se mara

kisi ko garmi-e-taqrir se apni laga rakkha
kisi ko munh chhupa kar narmi-e-awaz se mara

hamara murgh-e-dil chhoda na aakhir us shikari ne
gahe shahin phenke us pe gahe baz se mara

ghazal padhte hi meri ye mughanni ki hui haalat
ki us ne saz mara sar se aur sar saz se mara

nikali rasm-e-tegh-o-tasht dili mein jazak-allah
ki mara to hamein tu ne par ek eazaz se mara

na udta murgh-e-dil to changul-e-shahin mein kyun phansta
gaya ye khasta apni khubi-e-parwaz se mara

jahan tak saz-dari hai likhi dushman ke tale mein
hamein badnam kar ke tale-e-na-saz se mara

hazaron rang us ke khun ne yaron ko dikhlae
jab us ne 'mushafi' ko apni tegh-e-naz se mara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close