bacha ke rakkha hai jis ko ghurub-e-jaan ke liye

bacha ke rakkha hai jis ko ghurub-e-jaan ke liye
ye ek subh to hai sair-e-bostan ke liye

chalen kahin to siyah-dil zamanon mein hongi
faraghaten bhi is ek sidq-e-raegan ke liye

likhe hain lauhon par jo murda lafz un mein jien
is apni zist ke asrar ke bayan ke liye

pukarti rahi bansi bhatak gae rewad
nae giyah nae chashma-e-rawan ke liye

sahar ko nikla hun meinh mein akela kis ke liye
darakht abr hua bu-e-ham-rahan ke liye

sawad-e-nur se dekhen to tab suragh mile
ki kis maqam ki zulmat hai kis jahan ke liye

to raushni ke malide mein rizq ki khatir
main raushnai ke gude mein aab-o-nan ke liye

taras rahe hain sada khisht khisht lamhon ke des
jo mere dil mein hai is shahr-e-be-makan ke liye

ye nain jalti lawon jiti nekiyon wale
ghane bahishton ka saya hain arz-e-jaan ke liye

zamir-e-khak mein khufta hai mera dil 'amjad'
ki nind mujh ko mili khwab-e-raftagan ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close