bacha le dhup se aisa koi shajar na mila

bacha le dhup se aisa koi shajar na mila
kahin suragh-e-wafa qissa mukhtasar na mila

machal rahe the jabin-e-niyaz mein sajde
ye aur baat muqaddar se sang-e-dar na mila

kuredte rahe sab dost mere zakhmon ko
sabhi ne tanz kiye koi chaaragar na mila

wo karbala to nahin doston ki basti thi
tadapte rah gae pani ko bund bhar na mila

hujum yaron ka tha mere sath sahil tak
samundaron mein magar koi ham-safar na mila

likha ke lae the mahrumiyan muqaddar mein
tujhe dua na mili aur mujhe asar na mila

abhi to ashk ki ek bund se ye tufan hai
qadam sambhaal le aur aah mein sharar na mila

qadam badhae to payab tha har ek dariya
magar talash thi jis ki wahi guhar na mila

hum apni zist ko karte bhi kya raqam 'azhar'
waraq mila bhi jo simin to aab-e-zar na mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close