gham kahin samt-e-safar thi rahbar koi na tha

gham kahin samt-e-safar thi rahbar koi na tha
ek sahra-e-alam tha ham-safar koi na tha

us ko bhi hum ne yahi samjha tamasha hai koi
jab khulin aankhen nishan-e-sang-e-dar koi na tha

waqt hum ko thokaron par thokaren deta raha
aur apne hath mein tir-o-tabar koi na tha

qarya-e-bedad-khwahan ki shikayat hai abas
shahr-e-ham-dardan mein bhi to chaaragar koi na tha

dhajjiyan udti rahin jaib-o-gareban ki mere
rok deta bazm mein aashufta-sar koi na tha

mere raazon mein na koi raaz baqi rah gaya
ham-nashinon mein mere na-mo'tabar koi na tha

is liye hum nargis-e-bimar ke qail hue
us ke jaisa bhi chaman mein dida-war koi na tha

dil ke zakhmon ko ata karna tha lafzon ka libas
aur 'azhar' maqsad-e-arz-e-hunar koi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close