badha tanhai mein ehsas-e-gham aahista aahista hamein yaad aae sab ahl-e-karam aahista aahista dil-e-muztar ki betabi ka aalam kaisa aalam hai khincha jata hai dil su-e-sanam aahista aahista chala hun manzil-e-jaanan main kuchh aise tassur se nazar sharminda sharminda qadam aahista aahista nigah-e-lutf kis ki ho gai mere muqaddar par ye kis ka ho gaya husn-e-karam aahista aahista mohabbat karne ka hum ko sila achchha mila ai dil simat aae mere daman mein gham aahista aahista haqiqat mein agar puchho bahaaran-e-gulistan ka chaman walon ne toda hai bharam aahista aahista kahan tak zabt karte bazm ki kotah-bini ko 'mubin' uthna pada ba-chashm-e-nam aahista aahista