phir tum rukh-e-zeba se naqab apne utha do achchha hai ki aaine ko aaina dikha do jab barq ke ehsan se bachana hai khudi ko khud apne hi nalon se nasheman ko jala do wo samne aate nahin achchha to na aaen tum jazb-e-mohabbat se hijabaat utha do gul kar saken jis ko na hawaon ke thapede wo shama zamane mein mohabbat ki jala do tum ne to nazar pher li bhar kar nafas-e-sard lazim tha ki bhadke hue shole ko hawa do zindan se nikalne ki ye tadbir ghalat hai zanjir ke tukde karo diwar gira do main ye nahin kahta ki baja hi sahi lekin 'rifat' pe bhi beja koi ilzam laga do