badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain

badli hui duniya ki nazar dekh rahe hain
phalta hua nafrat ka shajar dekh rahe hain

basti ke sulagte hue ghar dekh rahe hain
dil-doz manazir hain magar dekh rahe hain

wo kar bhi chuke ghair se iqrar-e-mohabbat
hum baithe duaon mein asar dekh rahe hain

hoti hai har ek phul se gulzar ki zinat
nadan hain jo nasl-e-shajar dekh rahe hain

ek roz na jal jae kahin un ka nasheman
jo dur khade raqs-e-sharar dekh rahe hain

manzil ki jinhen dhun thi unhen mil gai manzil
jo baith rahe gard-e-safar dekh rahe hain

'afshan' meri aankhon mein basi rahti hai har-dam
wo shakl jise ahl-e-nazar dekh rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close