bas har ek raat yahi jurm kiya hai main ne la ke khwabon mein tujhe dekh liya hai main ne har baras zist ka lamha sa laga hai lekin baz lamhon mein to sadiyon ko jiya hai main ne chhute jate hain sabhi ahal-e-kharabaat-e-junun kya ajab aql se sauda ye kiya hai main ne saghar-e-marg ko suqraat ne pi kar ye kaha zindagi tere liye zahr piya hai main ne apne har khwab ki tabir ko pane ke liye ek samundar tha jise par kiya hai main ne tum nahin jaante maqtal se darane walo jaan ka nazrana kai bar diya hai main ne kaise mumkin hai ki main tujh se teri baat karun tere kahne pe to honton ko siya hai main ne mai-kashi mein bhi kai daur guzare 'adil' kabhi chullu kabhi saghar se piya hai main ne