bagh mein jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche

bagh mein jab ki wo dil khun-kun-e-har-gul pahunche
bilbilati hui gulzar mein bulbul pahunche

sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche
gar meri dad ko kal tak bhi wo kakul pahunche

dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha
neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche

mehr kucha tera jhade hai ba-jarub-e-shua
ki isi tarah baham tujh se tawassul pahunche

apna ye munh to na tha aap talak hum pahunchen
aap ka jab ki hua hum pe tafazzul pahunche

ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junun mein kal hum
ba-tahammul ba-tammul ba-tajammul pahunche

gar tere wazn pe main sare qawafi bandhun
dam tera nak mein ai bab-e-tafawwul pahunche

khana-abaad tumhaara ho ki hum hazrat-e-ishq
nafa ko tum se ba-ayyam-e-tawakkul pahunche

dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar
tohfe jo aap ne bheje hamein bilkul pahunche

jab gaya husn to aaya tere ikhlas ka bar
ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche

qahr ek rind pe qul pir-e-mughan ne tha padha
sher ye hum ne suna sunne ko jab qul pahunche

tars-e-uqba hai to mai-khana mein rah ai zahid
tab bacho wan jo baja kan mein qulqul pahunche

rashk-e-gul bagh mein baitha tha to hum bhi 'ehsan'
ye ghazal padhte hue wan ba-tajahul pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close