tujhko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main

tujh ko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main
paikar-e-ikhlas taswir-e-wafa samjha tha main

jab liya nam-e-khuda kashti kinare lag gai
jaane kis kis bul-hawas ko nakhuda samjha tha main

tha kisi zalim ka apna muddaa-e-zindagi
jis ko apni zindagi ka muddaa samjha tha main

tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat
jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein

intiha-e-yas mein ab kya kahun? kis se kahun?
ibtida-e-shauq mein kis kis ko kya samjha tha main

aa gaya jab aa gaya un ko khayal-e-iltifat
apne shauq-e-dil ko 'bazmi' na-rasa samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close