bagh mein tu kabhu jo hansta hai ghuncha-e-dil mera bikasta hai are be-mehr mujh ko rota chhod kahan jata hai meinh barasta hai tere maron huon ki surat dekh mera marne ko ji tarasta hai teri tarwar se koi na bacha ab kamar kis upar tu kasta hai kyun mozahim hai mere aane se kui tera ghar nahin ye rasta hai meri fariyaad koi nahin sunta koi is shahr mein bhi basta hai 'hatim' us zulf ki taraf mat dekh jaan kar kyun bala mein phansta hai