use apne fan pe jo man tha so nahin raha kabhi wo bhi jadu-bayan tha so nahin raha mere lucknow teri shakl kitni badal gai ye jo shahr ahl-e-zaban tha so nahin raha mujhe dusron ke muqable kiya mustarad magar in dinon wo jawan tha so nahin raha nae aasman ki talash mein main bhatak gai kabhi tu hi meri udan tha so nahin raha mere dil ki rut bhi teri tarah hi badal gai mujhe har ghadi tera dhyan tha so nahin raha