bahaar aai hai kya kya chaak jaib-e-pairahan karte jo hum bhi chhut jate ab to kya diwana-pan karte tasawwur us dahan-e-tang ka rukhsat nahin deta jo tuk dam mar sakte hum to kuchh fikr-e-sukhan karte nahin jun panja-e-gul kuchh bhi in hathon mein girai wagarna ye gareban nazr-e-khuban-e-chaman karte musafir ho ke aae hain jahan mein tis pe wahshat hai qayamat thi agar hum is kharaba mein watan karte koi farhad jaise be-zaban ko qatl karta hai 'yaqin' hum wan agar hote to ik-do bachan karte