bahaar ban ke chaman ki faza mein shamil hai

bahaar ban ke chaman ki faza mein shamil hai
ye kis ke jism ki khushbu hawa mein shamil hai

kabhi mila na koi guftugu hui jis se
wo kaun hai jo meri har dua mein shamil hai

main jitna bach ke chalun utna khinchta hai mujhe
ajab tilism-e-tamanna khata mein shamil hai

sunega wo to yaqinan jawab bhi dega
ye kaisa dar hai jo meri sada mein shamil hai

ilaj ke liye bimar ab kahan jaen
ki ek zahr yahan har dawa mein shamil hai

banegi baat bhala kis tarah wahan 'masum'
ana ka rang jahan iltija mein shamil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close