aaj tak dida-e-mushtaq se pinhan hi rahe

aaj tak dida-e-mushtaq se pinhan hi rahe
ye alag baat wo nazdik rag-e-jaan hi rahe

aur honge jinhen milta hai sukun-e-khatir
hum teri bazm mein aa kar bhi pareshan hi rahe

ek faqat bazm-e-nigaran hi pe mauquf nahin
hum sar-e-dar bhi ai dost ghazal-khwan hi rahe

ye bhi mumkin hai koi aae sar-e-rah-e-wafa
ye bhi mumkin hai mere baad ye viran hi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close