bahut be-zar hoti ja rahi hun main khud par bar hoti ja rahi hun tumhein iqrar ke raste pe la kar main khud inkar hoti ja rahi hun kahin main hun sarapa rahguzar aur kahen diwar hoti ja rahi hun bahut muddat se apni khoj mein thi so ab izhaar hoti ja rahi hun bhanwar dil ki tahon mein ban rahe hain main be-patwar hoti ja rahi hun tumhaari guftugu ke darmiyan ab yunhi takrar hoti ja rahi hun ye koi khwab karwat le raha hai ki main be-dar hoti ja rahi hun kisi lahje ki narmi khul rahi hai bahut sarshaar hoti ja rahi hun mera tesha zamin mein gad gaya hai junun ki haar hoti ja rahi hun