aa gae phir tere arman mitane hum ko dil se pahle ye laga denge thikane hum ko sar uthane na diya hashr ke din bhi zalim kuchh tere khauf ne kuchh apni wafa ne hum ko kuchh to hai zikr se dushman ke jo sharmate hain wahm mein dal diya un ki haya ne hum ko zulm ka shauq bhi hai sharm bhi hai khauf bhi hai khwab mein chhup ke wo aate hain satane hum ko chaar daghon pe na ehsan jatao itna kaun se bakhsh diye tum ne khazane hum ko baat karne ki kahan wasl mein fursat 'bekhud' wo to dete hi nahin hosh mein aane hum ko