bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye

bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye
ruki hui hai munderon pe sham kis ke liye

bhula ke khud ko chalo gahri nind sote hain
agar karen bhi to ninden haram kis ke liye

ki is dayar mein kaun aaya hai jo aaega
hamein batao ki ye ehtimam kis ke liye

unhen bhi kash kisi roz ye pata to chale
bane hain shauq se hum bhi ghulam kis ke liye

wo koi aur nahin hai to ek baat bata
chhalak rahe hain nigahon ke jam kis ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close