bais-e-asudgi hai hashr-samani mujhe

bais-e-asudgi hai hashr-samani mujhe
ras aati hai badi mushkil se aasani mujhe

dekh kar teri inayat aur tera lutf-o-karam
khal rahi hai yar apni tang-damani mujhe

kar raha hai zehn mein gardish koi dhundla sa aks
lag rahi hai us ki surat jaani pahchani mujhe

sochne ka zawiya main ne badal dala hai dost
ab pareshani nahin lagti pareshani mujhe

saunp di us ne mujhe apne badan ki saltanat
mil gai ho muflisi mein jaise sultani mujhe

luqma-e-girdab hone hi ko tha main aur phir
dafatan aai nazar ek mauj-e-imkani mujhe

aaj phir khulne lagi hai mujh pe ramz-e-kaenat
aaj phir hone lagi hai khud pe hairani mujhe

sochta hun ula misra jab kabhi 'nayab' main
khud ko likhwata hai badh kar misra-e-sani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close