apne hisar-e-zat mein uljha hua hun main yani ki kaenat mein uljha hua hun main qabu mein aaj dil nahin kya ho gaya mujhe phir aaj khwahishat mein uljha hua hun main jaise ki hone wali hai anhoni phir koi har-pal tawahhumat mein uljha hua hun main kuchh apna farz pyar tera fikr-e-rozgar kitne hi wardat mein uljha hua hun main fursat kahan banaun marasim nae nae pichhle talluqat mein uljha hua hun main sab hain asir-e-ranj-o-alam is jahan mein tanha kahan hayat mein uljha hua hun main 'nayab' jab nahin hai wafaon ka us ko pas phir kyun takallufat mein uljha hua hun main