baiTha hai sogwar sitamgar ke shahr mein

baitha hai sogwar sitamgar ke shahr mein
kis ko pukare aaina patthar ke shahr mein

beja nahin fazaon ka hairat mein dubna
itna sukut aur sukhan-war ke shahr mein

is daur mein usi ko hunar-mand maniye
jina nahin pada jise mar mar ke shahr mein

manzil qarib aai to rasta bhula gaya
phirte hain khak chhante rahbar ke shahr mein

suraj nazar bacha ke to guzra na tha magar
utrin nahin shuaen muqaddar ke shahr mein

insan kahun unhen ki farishton ka nam dun
jo log dard-mand hain be-ghar ke shahr mein

shayad nikal hi aae koi chaaragar 'figar'
ek bar aur dekh sada kar ke shahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close