baiThe ho sar-e-rahguzar kyon nahin jate

baithe ho sar-e-rahguzar kyon nahin jate
tum log to ghar wale ho ghar kyon nahin jate

ye waqt ke hakim hain suna waqt ke hakim
ye kahte hain mar jao to mar kyon nahin jate

is baat se zahir hai tumhin ek khuda ho
hum warna kisi aur ke dar kyon nahin jate

pal hi mein guzar jati hai sukh-chain ki raaten
dukh-dard ke din pal mein guzar kyon nahin jate

muddat se kurede bhi nahin yaad kisi ki
phir zakhm mere sine ke bhar kyon nahin jate

is daur mein jina hai to makkar ka jina
ye baat haqiqat hai to mar kyon nahin jate

itne hi agar tang ho is shahar se 'asi'
chupke se kisi dur nagar kyon nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close