ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log

ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
naqsh-e-pa dhund rahe hain sar-e-dariya hum log

sae chhute to pighalne lage phir dhup mein jism
kash hote na kabhi khud se shanasa hum log

hum ko nafrat hai andheron se magar kya kije
ki ujalon se bhi rakhte nahin rishta hum log

kuchh nazar aata nahin jin mein dhundlakon ke siwa
karte rahte hain unhin khwabon ke dar wa hum log

zehn par bar hai aankhon ka muqaddar hai thakan
khwab agar dekhte bhi hain to adhura hum log

apni hi aankhon se girte hue dekha jis ko
dhundhte kyun usi diwar ka saya hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close