dil ko shaista-e-ehsas-e-tamanna na karen aap is andaz-e-nazar se mujhe dekha na karen yak-ba-yak lutf o inayat ka irada na karen aap yun apni jafaon ko tamasha na karen un ko ye fikr hai ab tark-e-talluq kar ke ki hum ab pursish-e-ahwal karen ya na karen han mere haal pe hanste hain zamane wale aap to waqif-e-haalat hain aisa na karen un ki duz-dida-nigahi ka taqaza hai ki ab hum kisi aur ko kya khud ko bhi dekha na karen wo talluq hai tere gham se ki allah allah hum ko hasil ho khushi bhi to gawara na karen is mein poshida hai pindar-e-mohabbat ki shikast aap mujh se bhi mere haal ko puchha na karen na raha teri mohabbat se talluq na sahi nisbat-e-gham se bhi kya khud ko pukara na karen main ki khud apni wafaon pe khajil hun 'akhtar' wo to lekin sitam o jaur se tauba na karen