banae sab ne isi KHak se diye apne

banae sab ne isi khak se diye apne
falak se tut ke shams-o-qamar nahin aae

gali gali ho jahan jannaton ka gahwara
hamari rah mein aise nagar nahin aae

har ek mod se puchha hai manzilon ka pata
safar tamam hua rahbar nahin aae

ghamon ke bojh se tuti hai zindagi ki kamar
badan pe zakhm kahen chaara-gar nahin aae

gulon ki aanch ne jhulsa diya bahaaron ko
chaman ko lutne barq-o-sharar nahin aae

hue hain sina-e-shab mein jo dafn afsane
lab-e-sahar pe kabhi bhul kar nahin aae

chamak uthe hain thapedon ki chot se qatre
sadaf ki god mein 'anjum' guhar nahin aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close