parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye

parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye
badli hata ke chand ne jangal saja diye

kitne hi daeron mein bata markaz-e-khayal
ek but ke hum ne saikadon paikar bana diye

tute kisi tarah to fazaon ka ye jumud
aandhi ruki to hum ne nasheman jala diye

ab raston ki gard se atte nahin badan
naqsh-e-qadam asir-e-gul-e-tar bana diye

ek chand ki talash mein ghume nagar nagar
laute to aasman ne sitare bujha diye

bazi to hum ne aaj bhi haari nahin huzur
nazren bacha ke aap ne mohre utha diye

thahri hui hawa mein bhadakte nahin charagh
jhonkon ne lau badhai diye jagmaga diye

'anjum' labon mein jazb huin talkhiyan tamam
murjha gai bahaar jo hum muskura diye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close