band kar rauzan-e-dar chaho ki raKHna na rahe

band kar rauzan-e-dar chaho ki rakhna na rahe
tak par dekhe nahin jhankne wale tum ne

munh ki khaoge meri jaan khuda khair kare
munh laga rakkhe hain jis tarah rizale tum ne

uf karun dil ke jalan se to kaleja phat jae
bulbulo kaise hazaron kiye nale tum ne

daman-e-ashk na chhodunga main ai dida-e-tar
dil kiya mera hasinon ko hawale tum ne

dast-o-pa wadi-e-wahshat ki tamanna thi tumhein
aable tod chuke khar nikale tum ne

kab shikast aise sanad hai ki dagha ki ai khar
hath se phod liye panw ke chhaale tum ne

zulf-e-zanjir-e-junun samjhe bhi ai hazrat-e-dil
kya pada pech ki panw apne nikale tum ne

kis gulistan ki chaman-bandi hai ai mardum-e-chashm
nakhl-e-mizhgan se bhare ashkon se thaale tum ne

bulbulen phulon se nalan hain ki shabnam ke ewaz
qatre simab ke kanon mein hain dale tum ne

chashm-o-abru se kisi mast ki be-shak bah ke
mai-kasho taq pe kyon rakkhe hain pyale tum ne

kahin surat na bandhi naqsh-e-tamanna ki 'nasim'
saikdon sim-badan sanche mein dhaale tum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close