gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin

gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin
ye khushi bhi hai mayassar koi gham-khwar nahin

khud se bhi tod chuka hun main talluq apna
ab meri rah mein hail koi diwar nahin

aisi sunsan kabhi pahle na thi hijr ki raat
dur tak qafila-e-subh ke aasar nahin

baat aasan farawani-e-gham ne kar di
ab mujhe shikwa-e-na-kaami-e-izhaar nahin

zinda rah lun kisi surat to badi baat hai ye
warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin

dam-e-wahshat se rihai nahin mumkin shayad
hun asir apna bhi sirf us ka giraftar nahin

qissa-e-gham bhi wahi main bhi wahi dil bhi wahi
par wo pahla sa khulus-e-dar-o-diwar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close