banda-parwar aap ki to zindagi aabaad hai

banda-parwar aap ki to zindagi aabaad hai
aap ko is se gharaz kya gar koi barbaad hai

hai ijazat aap to mashk-e-sitam farmaiye
hum gharibon ka kaleja ba-khuda faulad hai

apna apna hai muqaddar apna apna hai nasib
hai koi aabaad duniya mein koi barbaad hai

khun insan ka bahate hain jo pani ki tarah
aise logon ki badaulat gulistan barbaad hai

kis qadar mushkil hai khul kar sans lena bhi yahan
sirf kahne ke liye apna watan aazad hai

naujawan hathon mein hai is mulk ki taqdir ab
naujawan hathon ke dam se mulk ye aabaad hai

titliyon ke pichhe pichhe daudna wo har taraf
aaj tak hum ko ladakpan ka zamana yaad hai

kis qadar rangi zamana tha wo bachpan ka 'mukesh'
kuchh tumhein bhi yaad hoga kuchh mujhe bhi yaad hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close