zindagi saz-e-shikasta ki fughan hi to nahin

zindagi saz-e-shikasta ki fughan hi to nahin
zamzama-sanj bhi hai marsiyan-khwan hi to nahin

ishq se baz hum aate jo guzarta wo garan
lutf to ye hai tabiat pe garan hi to nahin

dil bura kijiye kis tarah bhala phir us se
rahat-e-jaan bhi to hai aafat-e-jaan hi to nahin

aisi yaaden bhi hain sau zindagiyan jin pe nisar
hasil-e-zist gham-e-umr-e-rawan hi to nahin

hum samajhte hain jo apne ko bada ahl-e-nazar
ye bhi faiz-e-nazar-e-khush-nazran hi to nahin

qafile mein hain bahut rahrawan bhi to sharik
rahbaran hi to nahin rah-zanan hi to nahin

hai bahut naz tujhe zabt-e-fughan par 'fazli'
ye khamoshi bhi kahin tarz-e-fughan hi to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close