bandishen toD ke aisa to nikal aaya tha

bandishen tod ke aisa to nikal aaya tha
chand jaise ki falak se ye phisal aaya tha

mera ye dil jise patthar bhi bahut narm lage
barf jaisa mere sine mein pighal aaya tha

aisi wadi se bhala kaun palat kar aae
ek bachcha hi sa tha main jo nikal aaya tha

tum ko andar ki baghawat ka koi ilm nahin
jism ko pith pe rakkha tha to chal paya tha

han main roya tha nikalte hue us roz magar
tere mathe pe bhi thoda sa to bal aaya tha

ek chhoti si guzarish meri ab waqt se hai
bar bar aaya kare jaise wo kal aaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close