dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai dakhil hote hi harjaana lagta hai sans ki har aamad lautani padti hai jina bhi mahsul chukana lagta hai roz palat aata hai lahu mein duba tir roz falak par ek nishana lagta hai bich nagar din chadhte wahshat badhti hai sham talak har-su virana lagta hai umr zamana shahr samundar ghar aakash zehan ko ek jhatka rozana lagta hai be-hasil chalte rahna bhi sahl nahin qadam qadam par ek bahana lagta hai kya uslub chunen kis dhab izhaar karen tis nai hai dard purana lagta hai hont ke kham se dil ke pech milana 'saz' kahte kahte baat zamana lagta hai