bar-sar-e-baad hua apna thikana sar-e-rah kaam aaya mera aawaz lagana sar-e-rah dosto fart-e-junun rah badalta hai meri kis ne chaha tha tumhein chhod ke jaana sar-e-rah dil mulaqat ka khwahan ho to khak udti hai bach ke chalta hun to milta hai zamana sar-e-rah ye jo mitti tan-e-baqi ki liye phirta hun chhod jaunga kahin ye bhi khazana sar-e-rah tum kisi sang pe ab sar ko tika kar so jao kaun sunta hai shab-e-gham ka fasana sar-e-rah rah-e-duniya mein thaharna to nahin tha dil ko mil gaya hoga koi khwab purana sar-e-rah