dasht roz-o-shab mein dil-e-betab ko taza rakhna

dasht roz-o-shab mein dil-e-betab ko taza rakhna
aankhen be-shak jhad jaen ek khwab ko taza rakhna

main bhi apni pyas nahin bujhne dunga aur tum bhi
apne sahra ke har ek sarab ko taza rakhna

jazbon ki is jhil mein soch ki kai na jamne pae
apni tamanna ke aks-e-mahtab ko taza rakhna

shakh hunar se tod ke sher ka phul main us ko de dun
us ki zulf ko hai malum gulab ko taza rakhna

is tarik udas aur band gali mein rahte log
raste raushni aur khushbu ke khwab ko taza rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close