baras kar khul gaya abr-e-khizan aahista aahista hawa mein sans lete hain makan aahista aahista bahut arsa laga rang-e-shafaq madum hone mein hua tarik nila aasman aahista aahista kahin patton ke andar dhimi dhimi sarsarahat hai abhi hilne lagengi daliyan aahista aahista jahan dale the us ne dhup mein kapde sukhane ko tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista samaat mein abhi tak aahaton ke phul khilte hain koi chalta hai dil ke darmiyan aahista aahista badal jaega mausam dard ki shakh-e-barahana mein nikalti aa rahi hain pattiyan aahista aahista