barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain

barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain
sab usi khak ki poshak hua chahte hain

yun tere shahr mein badli hai hawa-e-khush-rang
jitne masum hain chaalak hua chahte hain

fikr ka aab-e-rawan ab nahin rukne wala
hum usi bahr ke pairak hua chahte hain

sab ko rahti hai yahan shahr-e-aman ki khwahish
itne haalat khatarnak hua chahte hain

raushni bechne wale ye ujalon ke safir
bastiyan phunk ke ghamnak hua chahte hain

meri sohbat ka natija hai ki sare mazlum
ek hi waqt mein bebak hua chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close