barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan barg-e-gul hi aashiyan ko apne hai chingariyan ahd-e-tifli mein bhi tha main bas-ki saudai-mizaj bediyan minnat ki bhi pahnin to main ne bhaariyan maut ke aate hi hum ko khud-bakhud nind aa gai kya usi ki yaad mein karte the shab-bedariyan ai khat us ke gore galon par ye tu ne kya kiya chandni raaten yakayak ho gain andhyariyan khanda-e-gul se sada-e-nala aati hai mujhe khun-e-bulbul se magar sinchi gai hain kyariyan khak ka putla bhi aahan se hai sakhti mein fuzun jism par insan ke talwaren hui hain aariyan khauf-e-khaliq hai wagarna mohtasib kya mal hai khan-e-qazi mein ja kar kijiye mai-khwariyan kuchh hamin khali nahin karte hain ye dair-e-kharab phir gae hain yar yunhi apni apni bariyan hukm kar 'atish' ki bazar-e-mohabbat band ho ab karen tatpujiye garm apni dukan-dariyan