bazar-e-dahr mein teri manzil kahan na thi yusuf na jis mein ho koi aisi dukan na thi zardi ne mere rang ki mujh ko rula diya hanswae jo kisi ko ye wo zafaran na thi zahir se khub-ruyon ka baatin khilaf tha shirin-labon ki tarah se un ki zaban na thi manzil hi dur hai jo ye pahunchi nahin hanuz dam lene wali rah mein umr-e-rawan na thi dikhlai sair aankhon ko baam-e-murad ki aisi koi kamand koi nardban na thi qaus-e-quzah se hum ne bhi tashbih di use chilla na hone se jo wo abru kaman na thi aagah jazb-e-ishq-e-zulekha se tha na husn yusuf ko chah mein khabar-e-karwan na thi yaad aa gai jo silk-e-guhar tere gosh ki suhan-e-ruh thi mujhe shab kahkashan na thi rah jaana pichhe jism ka jaan se ajab nahin kis karwan ki gard pas-e-karwan na thi na-fahmi ki dalil hai ye sajda se aaya iblis ko haqiqat-e-adam ayan na thi aashiq ke sar ke sath hai sauda-e-ku-e-yar momin na tha wo jis ko hawa-e-jinan na thi bang-e-jaras se aage har ek ka qadam raha gard apne karwan ke pas-e-karwan na thi afsos kya jawani-e-rafta ka kijiye wo kaun si bahaar thi jis ko khizan na thi nalon se ek din na kiye garm gosh-e-yar 'atish' magar tumhaare dahan mein zaban na thi