barson hue tum kahin nahin ho aaj aisa laga yahin kahin ho mahsus hua ki baat ki hai aur baat bhi wo jo dil-nashin ho imkan hua ki wahm tha sab izhaar hua ki tum yaqin ho andaza hua ki rah wahi hai ummid badhi ki tum wahin ho ab tak mere nam se hai nisbat ab tak mere shahr ke makin ho