barson ke rat-jagon ki thakan kha gai mujhe suraj nikal raha tha ki nind aa gai mujhe rakkhi na zindagi ne meri muflisi ki sharm chadar bana ke rah mein phaila gai mujhe main bik gaya tha baad mein be-sarfa jaan kar duniya meri dukan pe lauta gai mujhe dariya pe ek tanz samajhiye ki tishnagi sahil ki sard ret mein dafna gai mujhe ai zindagi tamam lahu raegan hua kis dasht-e-be-sawad mein barsa gai mujhe kaghaz ka chand rakh diya duniya ne hath mein pahle safar ki raat hi ras aa gai mujhe kya chiz thi kisi ki ada-e-supurdagi bhige badan ki aag mein nahla gai mujhe 'qaisar' qalam ki aag ka ehsanmand hun jab ungliyan jalin to ghazal aa gai mujhe