barson teri talab mein safina rawan raha

barson teri talab mein safina rawan raha
ai mere mehrban bhanwar tu kahan raha

un se mili nazar to palat kar na aa saki
wo rishta-e-nigah bhi kab darmiyan raha

kab umr-e-khizr khanda-e-gul ka jawab hai
yan do ghadi mein umr-e-abad ka saman raha

main bhi tere baghair na aaram pa saka
tu bhi meri talash mein be-khanaman raha

mujh ko gila hai tab-e-murawwat-shiar se
saghar-ba-dast ho ke bhi tishna wahan raha

ai daur-e-charkh ab koi tadbir aur kar
teri sitamgari pe to main shadman raha

mujh ko 'jalil' kaun kahega shikasta-dil
khaya tha ek zakhm so wo be-nishan raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close