bas ek baat ki usko KHabar zaruri hai

bas ek baat ki us ko khabar zaruri hai
ki wo hamare liye kis qadar zaruri hai

dilon mein dard ki daulat bacha bacha ke rakho
ye wo mataa hai jo umr bhar zaruri hai

nahin zarur ki maqdur ho to sath rakhen
kabhi-kabhaar magar nauhagar zaruri hai

kabhi to khel parinde bhi haar jate hain
hawa kahin ki bhi ho mustaqar zaruri hai

ye kya zarur ki mast apne aap hi mein rahen
idhar udhar ki bhi kuchh kuchh khabar zaruri hai

mafar nahin gham-e-duniya se 'aftab-husain'
bahut kathin hai ye manzil magar zaruri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close