hadse umr-bhar aazmate rahe

hadse umr-bhar aazmate rahe
chot kha kha ke hum muskuraate rahe

yun guzarta raha zindagi ka safar
bin tumhaare qadam dagmagate rahe

aandhiyon se adawat rahi umr-bhar
hum hawaon mein dipak jalate rahe

hajj-o-tirath ko jaane se kya faeda
gar buzurgon ka dil hum dukhate rahe

bant degi siyasat hamein do taraf
hum jo mandir aur masjid banate rahe

'dew' pine ka jis ko saliqa na tha
mai-kade un ki qismat mein aate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close