bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi

bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki khamoshi
chirti si jati hai mujh ko ghar ki khamoshi

subh ke ubharne se sham ke utarne tak
kitni jaan-lewa hai dopahar ki khamoshi

chal rahi thi jab mere ghar ke jalne ki taftish
dekhne ke qabil thi shahr bhar ki khamoshi

kat li hain tum ne to tahniyan sabhi lekin
sun sako jo kahti hai chup shajar ki khamoshi

tod bhi do chuppi ko ruthne ko taj dalo
ho gai hai parbat si baat bhar ki khamoshi

pad gai hai aadat ab sath tere chalne ki
bin tere kate kaise ye safar ki khamoshi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close