ruTh kar usne jataya bhi nahin

ruth kar us ne jataya bhi nahin
kyon hai wo barham bataya bhi nahin

chal diya wo bazm-e-matam chhod kar
haal-e-dil apna sunaya bhi nahin

kyun khizan ne gher rakkhi hai bahaar
panchhi koi chahchahaya bhi nahin

un se milte hi main patthar ho gaya
hath pakda aur dabaya bhi nahin

ek ajab dorahe par aa pahuncha hun
wo nahin apna paraya bhi nahin

meri haalat khushk dariya jaisi thi
main shajar tha ladkhadaya bhi nahin

ye mohabbat mein haya ki baat hai
pas soya tha jagaya bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close