bas itni rah gai ahl-e-wafa ki dastan baqi

bas itni rah gai ahl-e-wafa ki dastan baqi
sar-e-mahshar bhi hai zikr-e-jabin-o-astan baqi

rahega aashiyan bhi gar rahega gulistan baqi
ye zid ab to rahegi umr bhar ai baghban baqi

main har naqsh-e-qadam par jhum ke sajde mein girta hun
rahe kyon ehtiram-e-kucha-e-pir-e-mughan baqi

mita sakte nahin hashr-o-qayamat bhi ye do chizen
mere sajde rahenge aur un ka aastan baqi

nazar jalwon mein gum hai aur jalwe gum nigahon mein
nahin ab koi parda mere un ke darmiyan baqi

na phunk un ko khuda ke waste a barq rahne de
inhin do chaar tinkon se hai nam-e-ashiyan baqi

diya saqi ne apne sar se sadqa karke paimana
na jab koi raha jam-e-sharab-e-arghawan baqi

abhi hone ko hai jin se taqaza-e-ajal paiham
kuchh aise din bhi hain minjumla-e-umr-e-rawan baqi

dam-e-akhir wo aansu bhi gira mizhgan se bistar par
jo apne dard-e-dil ka rah gaya tha raaz-dan baqi

na mujh sa bhi koi ho khanuman barbaad duniya mein
ki mar jaane pe bhi hain saikdon barbaadiyan baqi

dam-e-rukhsat bas itni aarzu hai ai chaman walo
hamare baad bhi rakhna khayal-e-ashiyan baqi

jabin-e-shauq mein aisa bhi ek betab sajda hai
ki hai laghzish se jis ki aabru-e-astan baqi

bahaar-e-lala-o-gul ho ki ho rang-e-shafaq 'afqar'
rahengi hashr tak khun-e-wafa ki surkhiyan baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close