dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai

dil ko darun-e-khwab ka mausam bojhal rakhta hai
ek anjaane khauf se waqif har pal rakhta hai

wo jo ba-zahir har zarra hai tez hawaon mein
apne hone ka ehsas mukammal rakhta hai

tark-e-talluq ne meri bhi soch ko badla nahin
wo bhi shikayat apne sath musalsal rakhta hai

registan ka pauda hun main aur bahut sairab
apna rup rawayya mujh par baadal rakhta hai

kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
thahra pani kitni 'humaira' halchal rakhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close