bata ai zindagi tere parastaron ne kya paya

bata ai zindagi tere parastaron ne kya paya
utha kar naz tere naz-bardaron ne kya paya

wo kante hi sahi kuchh to diya hum ko bayaban ne
magar gulshan se phulon ke talab-garon ne kya paya

zara malum to kije khirad par marne walon se
ki thukra kar junun ko in ziyan-karon ne kya paya

kaleja tera phat jaega waiz fart-e-hairat se
bata dun main agar tujh ko gunahgaron ne kya paya

bayaban gham na kar be-faizi-e-abr-e-bahaaran ka
tera daman hai gar khali to gulzaron ne kya paya

gham-e-hasti gham-e-jaanan gham-e-duniya gham-e-dauran
mita kar mujh ko 'fazil' in sitam-garon ne kya paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close