bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-KHane mein rakh dena

bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-khane mein rakh dena
meri tuti hui tauba ko paimane mein rakh dena

kaha tha ai dil-e-na-faham-o-nadan tujh se ye kis ne
khuda-khane ki hurmat ko sanam-khane mein rakh dena

pasand aae na aae munhasir hai ye tabiat par
kisi ke samne dil hum ko nazrane mein rakh dena

dobara phir kisi din mere kaam aaegi ai saqi
jo mai pine se bach jae wo paimane mein rakh dena

kahin aaen kahin jaen kahin utthen kahin baithen
qadam hir-phir kar apna hum ko but-khane mein rakh dena

charagh-e-anjuman apni ziya phailane wala hai
utha kar shoala-e-ulfat ko parwane mein rakh dena

kahan hum dhundte tujh ko phirenge us ghadi saqi
subuhi ke liye thodi si paimane mein rakh dena

nazar aate hain kuchh angur mujh ko ai mere saqi
lahu tauba ka un ke ek ek dane mein rakh dena

khata-e-ishq par kyun 'nuh' apni jaan kho baithe
raqam itni badi aur is ko jurmane mein rakh dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close